Tuesday, March 13, 2007

Mera Kuch samaan tumhare pass pada hai!

kinaare door hote hote………………………. bahut duur ho gaye,
paani ke chapaakon ki aawaz bhi doob gayi………………
dil main aise sambahlte hain gham, jaise jever sambhalta hai koi
rooth gaye, naraaz ho gaye, hath se angoothi utaari, wapis kar di!
baanhon ke kangan utaare, aur saat pheron samet lauta diye!
lekin wo , wo baaki jever jo dil main rakh liye,unka kya??
"bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaa
admee ko bhee muyassar nahi insaan hona
kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
hai! us zood-e-pashemaan ka pashemaan hona"
[dushwaar = difficult, muyassar = possible jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed]
Embarrassed]

No comments: